Aye bayaban-e-arab teri baharon ko salam lyrics

 Aye Biyaban e Arab Teri Baharon Ko Salam

  اے بیابان عرب تیری بہاروں کو سلام

Time Duration:
00:05:32

Date:
2017-07-17

Category:
Salam

Vocalist:
Others

Download In:


LEAVE A REPLY

Name

Email

Captcha

Aye bayaban-e-arab teri baharon ko salam lyrics

Captcha Answer

Comments


اے بیابانِ عرب تیری بہاروں کو سلام

تیرے پھولوں کو تیرے پاکیزہ خاروں کو سلام

جبلِ نور و جبلِ ثور اور اُن کے غاروں کو سلام

نور برساتے پہاڑوں کی قطاروں کو سلام

جھومتے ہیں مسکراتے ہیں مغیلانے عرب

خوبصورت وادیوں کو رہ گزاروں کو سلام

رات دِن رحمت برستی ہے جہاں پر جھوم کر

اُن طوافِ کعبہ کے رنگیں نظاروں کو سلام

سنگِ اسود باب و میزاب و مقام ملتزم

اور غلاف کعبہ کے رنگیں نظاروں کو سلام

رُکن شامی اور عراقی اور یمنی پر درود

جگمتاتے نور برساتے میناروں کو سلام

خوب چومے ہیں قدم ثور و حِرا نے شاہﷺ کے

مہکے مہکے پیارے پیارے دونوں غاروں کو سلام

ج

گمگاتے گنبد خضراء پہ ہو روشن درود

مسجد نبوٰی کے نورانی میناروں کو سلام

منبر و محراب جاناں اور سنہری جالیاں

سبز گنبد کے مکیں کو دونوں پیاروں کو سلام

سیدی حمزہ کو اور جملہ شہیدانِ اُحد

کو بھی اور سب غازیوں کو شہہ سواروں کو سلام

جس قدر جِن و بشر میں تھے صحابہ شاہﷺ کے

سب کو بھی بے شک خصوصا چار یاروں کو سلام

جس جگہ پر آکے سوئے ہیں صحابہ دس ہزار

اُس بقیعِ پاک کے سارے مزاروں کو سلام

غسل کعبہ کا بھی منظر کس قدر پر کیف ہے

جھوم کر کہتا ہے عطار اُن نظاروں کو سلام


Aye Bayabaan E Arab (Salla Llahu ‘alayhi Wa Sallam) Teri Baharo Ko Salam
Teri Phoolo Ko Tere Paakiza Kharo Ko Salam

Jabal E Noor O Jabal E Sor Aur Un Ke Gaaron Ko Salam
Noor Barsate Pahado Ki Qitaron Ko Salam

Jhomte Hai Muskurate Hai Mugilaan E Arab
Khubsurat Wadion Ko Regzaro Ko Salam

Raat Din Rehmat Barasti Hai Jaha Par Jhoom Kar

Un Tawaf E Kaaba Ke Rangeen Nazaron Ko Salaam

Sang E Aswad Baab O Mizaab O Maqam O Multazam

Aur Ghilaf E Kaaba Ke Rangeen Nazaro Ko Salam

Khub Chume Hai Qadam Sor O Hira Ne Shah Ke

Maheke Maheke Pyaare Pyaare Dono Gaaron Ko Salam

Jagmagate Gumband E Khazra Pe Ho Roshan Durood

Masjid E Nabvi Ke Noorani Minaaron Ko Salam

Mimbar O Mehraab E Jana Aur Sunehri Jaaliya

Sabz Gumbad Ke Makeen Ko Dono Pyaaro Ko Salam

Jis Qadar Jinn O Bashar Me the Sahaba Shah Ke

Sab Ko Bhi Beshak Khususan Chaar Yaaro Ko Salam

Jis Jagah Par Aake Soye Hai Sahaba Das Hazaar

Us Baqi E Pak Ke Saare Mazaro Ko Salam

Shoq E Deedar E Madina Me Tadapte Hai Jo Un

Bekararo Dil Figaron Ashkbaaro Ko Salam

Aye bayaban-e-arab teri baharon ko salam lyrics

Ae biyaban-e-‘arab teri baharon ko salaam
tere phulon ko tere pakiza kharon ko salaam

jabl-e-noor o jabl-e-saur aur unke gharon ko salaam
noor barsaate paharon ki qitaaron ko salaam

jhoomte hain muskuratein hain mughiran-e-arab
khoobsoorat wadiyon ko reg-guzaron ko salaam

raat din rahmat barasti hai jahan par jhoom kar
un tawaf-e-kaaba ke rangeen nazaron ko salaam
jo musalman kaba ka karte hain tawaaf
unke balke sare hi sajdah guzaron ko salaam

sang-e-aswad baab-o-mizaan woh muqaam-e-multazam
aur ghilaf-e-kaaba ke rangeen nazaron ko salaam

mustajaro mustajabo bir-e-zamzam aur mataaf
aur hateem-e-paak ke dono kinaron ko salaam

rukn-e-shaami aur iraqi aur yamani par darood
jagmagate noor barsate minaaron ko salaam

khoob choomein hain qadam saur-o-hira ne shah ke
mehke mehke pyaare pyaare dono gharon ko salaam

jagmagate gumbad-e-khazra pe hoor-o-shamhorood
masjid-e-nabwi ke noorani minaaron ko salaam

mimbar-o-mehraab janan aur sunehri jaaliyan
sabz gumbad ke makin ko dono pyaaron ko salaam

sayyidi hamza ko aur jumla shaheedan-e-uhud
ko bhi aur sab ghaaziyon ko shahsawaaron ko salaam

jis qadar jin-o-bashar mein the sahabah shaha ke
sab ko bhi beshak khasoosan char yaaron ko salaam

jis jagah pe aa ke soye hain sahabah das hazaar
us baqi-e-khaak ke saare mizaaron ko salaam

ghusl-e-kaaba ka bhi manzaar kis qadar purkaif hai
jhoom kar kehte hain hum sab un nazaron ko salaam

aye bayaban-e-arab teri baharon ko salam naat lyrics